Friday 7 February 2020

Khayal Shayari in Hindi

Get latest khayal shayari in hindi and shayari in hindi on khayal rakhna. we have a good collection of ख्याल शायरी हिंदी and apna khayal rakhna shayari in hind.Hope you will like our khayal rakhna shayari in hindi and khayal hindi shayari. If you like shayari on khayal in hindi then share it on social media and subscribe our website for more upcoming shayaris.
khayal shayari in hindi,khayal hindi shayari,shayari in hindi on khayal rakhna, ख्याल शायरी हिंदी, apna khayal rakhna shayari in hindi, khayal rakhna shayari in hindi, shayari on khayal in hindi.
Khayal Shayari in Hindi
जब खामोश आँखो से बात होती है,
ऐसे ही मोहब्बत की शुरुआत होती है,
तुम्हारे ही ख़यालो में खोए रहते हैं,
पता नही कब दिन और कब रात होती है..

Roj Aata Hai Mere Dil Ko Tasalli Dene
Khayaal E-Yaar Ko Mera Khyaal Yaar Ko Kitna Hai.
रोज़ आता है मेरे दिल को तस्सली देने
ख़याल ऐ यार को मेरा खयाल कितना है।
Tasbir Mein Khayal Hona To Lazmi Sa Hai,
Magar Ek Tasbir Hai Jo Khayalo Se Bani Hai.
तस्वीर में ख्याल होना तो लाज़मी सा है,
मगर एक तस्वीर है, जो ख्यालों में बनी है।
Jis Dam Khayal-e-Nargis-e-Mastana Aata Hai,
Badi Mushkil Se Kabu Mein Dil-e-Diwana Aata Hai.
मुझे जिस दम खयाले-नर्गिसे-मस्ताना आता है,
बड़ी मुश्किल से काबू में दिले-दीवाना आता है।
Peete Peete Jab Bhi Aaya Teri Aankho Ka Khayal,
Maine Apne Haath Se Tode Hain Paimane Bahut.
पीते-पीते जब भी आया तेरी आंखों का खयाल,
मैंने अपने हाथ से तोड़े हैं पैमाने बहुत।
Kuchh Dard Kuchh Nami Kuchh Batein Judayi Ki,
Gujar Gaya Khayalon Se Teri Yaad Ka Mausam.
कुछ दर्द कुछ नमी कुछ बातें जुदाई की,
गुजर गया ख्यालों से तेरी याद का मौसम।
Kabhi Tuta Nahi Dil Se Teri Yaad Ka Rishta,
Guftgu Ho Na Ho Khayal Tera Hi Rehta Hai.
कभी टूटा नहीं दिल से तेरी याद का रिश्ता,
गुफ्तगू हो न हो ख्याल तेरा ही रहता है।
Aane Laga Hayat Ko Anjam Ka Khayal,
Jab Aarjuyen Failkar Ik Daam Ban Gayin.
आने लगा हयात को अंजाम का खयाल,
जब आरजूएं फैलकर इक दाम बन गईं।


source https://www.meridileshayari.in/2020/02/khayal-shayari-in-hindi.html

Wednesday 5 February 2020

Hurt Shayari | Hurt Images with Quotes

Find the best hurt Shayari and Hurt Images with Quotes. Love and hurt walk together in life.we have a nice collection of Hurt Images and Hurt Pictures. We always updated Hurt Photos and Hurt Wallpapers. Heart Broken Shayari If you like our hurt Shayari in hind you may share it Hurt Whatsapp Images on WhatsApp and other social media. Please subscribe to our website www.meridileshayari.in with email for future updates... Heart Touching Shayari

Hurt Shayari | Hurt Images with Quotes
Hurt Shayari ,Hurt Images with Quotes,Hurt Images,Hurt Pictures,Hurt Images with Quotes,Hurt Photos,Hurt Wallpapers,Hurt Whatsapp Images
Hurt Shayari | Hurt Images with Quotes
Baat Unchi Thi Magar Baat Jara Kaam Aanki,Mere Jazbaat Ki Aukaat Jara Kam Aanki,Wo Farishta Keh Kar Mujhe Jaleel Karta Raha,Main Insaan Hoon, Meri Jaat Jara Kam Aanki.
बात ऊँची थी मगर बात जरा कम आंकी,मेरे जज्बात की औकात जरा कम आंकी,वो फ़रिश्ता कहकर मुझे जलील करता रहा,मैं इंसान हूँ मेरी जात जरा कम आंकी।
Taras Gaye Hain Thodi Si Wafaa Ke Liye,Kisi Se Pyaar Na Karenge Khuda Ke Liye,Jab Bhi Lagti Hai Ishq Ki Aadalat,Hum Hi Chune Jaate Hain Sazaa Ke Liye.
तरस गए हैं थोड़ी सी वफ़ा के लिए,किसी से प्यार न करेंगे खुदा के लिए,जब भी लगती है इश्क की अदालत,हम ही चुने जाते हैं सजा के लिए।
Baato Mein Talkhi Lehze Mein Bewafai,Lo Ye Mohabbat Bhi Pahuchi Anjaam Par.
बातों में तल्खी और लहजे में बेवफाई,लो ये मोहब्बत भी पहुँची अंजाम पर।
Sitam Ki Ye Intehaan Dekhe Zamana Bhi,Ke Jispe Marte The Usee Ne Maar Dala.
सितम की ये इन्तेहाँ देखे ज़माना भी,कि जिसपे मरते थे उसी ने मार डाला।
Humne Toh Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto,Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,Jo Mil Jaye Iss Raah Par Kabhi Yaar Se,Woh Zakhm Kabhi Fir Dobara Nahi Silta.
हमने तो बस इतना ही सीखा है दोस्तों,राह-ए-वफ़ा में कभी किनारा नहीं मिलता,जो मिल जाये इस राह पर कभी यार से,वो ज़ख्म कभी फिर दोबारा नहीं सिलता।
Sitam Sah Bhi Kar Kitne Gam Chhipaye Humne,Teri Khatir Har Din Aansu Bahaaye Humne,Tu Chhod Gaya Jahan Humein Raahon Mein Akela,Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chhupaye Humne.
सितम सह कर भी कितने ग़म छिपाये हमने,तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाये हमने,तू छोड़ गया जहाँ हमें राहों में अकेला,तेरे दिए ज़ख्म हर एक से छुपाये हमने।
Wo Yaad Aaye Bhulaate Bhulaate,Dil Ke Zakhm Ubhar Aaye Chupaate Chupaate,Seekha Tha Jise Dekh Ke Muskurana,Usi Ne Aaj Rulaya Hasaate Hasaate.
वो याद आये भुलाते भुलाते,दिल के ज़ख्म उभर आये छुपाते छुपाते,सीखा था जिसे देख के मुस्कुराना,उसी ने आज रुलाया हँसाते हँसाते।
Wo Ek Baat Bahut Talkh Kahi Thi Usne,Baat Toh Yaad Nahi, Yaad Hai Lehja Uska.
वो एक बात बहुत तल्ख़ कही थी उसने,बात तो याद नहीं याद है लहज़ा उसका।
Naye Zakhm Ke Liye Tayyar Ho Ja Ai Dil,Kuchh Log Pyar Se Pesh Aa Rahe Hain.
नए ज़ख्म के लिए तैयार हो जा ऐ दिल,कुछ लोग प्यार से पेश आ रहे हैं।
Ashq Aankhon Se, Dil Se BadDua Nikli,Sitam Kiya Yaad Jab Kabhi SitamGar Ka.
अश्क आँखों से दिल से बद्दुआ निकली,सितम किया याद जब कभी सितमगर का।


source https://www.meridileshayari.in/2020/01/hurt-shayari-hurt-images-quotes.html

Monday 27 January 2020

Whatsapp Shayari Status

Welcome to meridileshayari page for Whatsapp Shayari Status. we have brought a nice collection of WhatsApp Shayari status. If you like plz share and subscribe to our website with email.
whatsapp shayari status,whatsapp status with shayari,whatsapp shayari status hindi,whatsapp shayari status in hindi,whatsapp status videos shayari quotes- sharechat,sad shayari for whatsapp status,whatsapp status shayari sad
Jab Chalna Nahi Ataa Tha To Lag Girne Nahi Dete The,Jab Se Sabhala Hai Khud Ko Log Pag-Pag Par Girane Ki Sochte Hain.
जब चलना नहीं आता था तो लोग गिरने नहीं देते थे,जब से संभाला है खुद को लोग पग-पग पर गिराने की कोशिश करते हैं।
Nakhre To Sirf Mummy Papa Uthate Hain,Duniya Wale To Sirf Ungli Uthate Hain.
नखरे तो सिर्फ मम्मी पापा उठाते हैं,दुनिया वाले तो बस ऊँगली उठाते है।
Rukabten To Zinda Insaan Ke Liye Hain,Mayyat Ke Liye To Sab Rahta Chhod Dete Hain.
रुकावटे तो ज़िन्दा इन्सान के लिए हैं,मय्यत के लिए तो सब रास्ता छोड़ देते है।
Tujhse Nahi Tere Waqt Se Naraj Hun,Jo Kabhi Tujhe Mere Liye Nahi Mila.
तुझ से नहीं तेरे वक़्त से नाराज हूँ,जो कभी तुझे मेरे लिए नहीं मिला।
Whatsapp Status with Shayari
Agar Neen Aa Jaye To So Bhi Liya Karo,Raato Ko Jagne Se Mohabbat Lauta Nahi Karti.
अगर नींद आ जाये तो सो भी लिया करो,रातों को जगने से मोहब्बत लौटा नहीं करती।
Gham Ho Ya Khushi Har Gulistan Mahkaya Karte Hain,Muskurane Ki Adat Hai Aur Muskuraya Karte Hain.
गम हो या हो ख़ुशी हर गुलिस्ता महकाया करते हैं,मुस्कुराने की आदत है और मुस्कुराया करते हैं।
Ajeeb Kissa Hai Zindagi Ka Ajnabi Haal Poochh Rahe Hain,Aur Apno Ko Khabar Tak Nahin.
अजीब किस्सा है जिन्दगी का,अजनबी हाल पूछ रहे हैं,और अपनो को खबर तक नहीं।
Insaan Sirf Aag Se Nahi Jalta,Kuchh Log To Hamare Andaz Se Jal Jaate Hain.
इंसान सिर्फ आग से नहीं जलता,कुछ लोग तो हमारे अंदाज से जल जाते हैं।
Mujhko Parh Pana Har Kisi Ke Liye Mumkin Nahi,Mai Wo Kitab Hun Jisme Shabdo Ki Jagah Jazbaat Likhen Hain.
मुझको पढ़ पाना हर किसी के लिए मुमकिन नहीं,मै वो किताब हूँ जिसमे शब्दों की जगह जज्बात लिखे हैं।
Whatsapp Shayari Status in Hindi
Meri Fitrat Me Nahi Apna Gham Bayan Karna,Agar Tere Wajood Ka Hissa Hun To Mahsoos Kar Takleef Meri.
मेरी फितरत में नहीं अपना गम बयां करना,अगर तेरे वजूद का हिस्सा हूँ तो महसूस कर तकलीफ मेरी।
Shabd Hi Aisi Cheez Hai Jiski Bajah Se Insaan Ya To,Dil Me Utar Jata Hai Ya Dil Se Utar Jata Hai
शब्द ही ऐसी चीज़ है जिसकी वजह से इंसान या तो,दिल में उतर जाता है या दिल से उतर जाता है।
Main Kisi Se Behtar Karun Kya Fark Padta Hai,Main Kisi Ka Behtar Karun Bahut Fark Padta Hai.
मैं किसी से बेहतर करुं क्या फर्क पड़ता है,मै किसी का बेहतर करूं बहुत फर्क पड़ता है।
Muskurana Har Kisi Ke Bas Ki Baat Nahi Hai,Muskura Wo Hi Sakta Hai Jo Dil Ka Ameer Hai.
मुस्कराना हर किसी के बस की बात नहीं है,मुस्करा वो ही सकता है जो दिल का अमीर हो।
Ye Dil Bhi To Janta Hai Meri Mohabbat Ka Alam,Ki Mujhe Jeene Ke Liye Saanso Ki Nahi Teri Jarurat Hai.
ये दिल भी तो जानता है मेरी मोहब्बत का आलम,की मुझे जीने के लिए सांसो की नहीं तेरी जरूरत हैं।
Whatsapp Shayari Status Hindi
Unhone To Hume Dhakka Diya Tha Dubane Ke Irade Se,Anzaam Ye Nikla Hum Tairak Ban Gaye.
उन्होंने तो हमें धक्का दिया था डुबाने के इरादे सेअंजाम ये निकला हम तैराक बन गए।
Na Kaha Karo Har Bar Ki Hum Chhod Denge,Na Hum Itne Aam Hain, Na Ye Tere Bas Ki Baat Hai.
न कहा करो हर बार की हम छोड़ देंगे तुमको,न हम इतने आम हैं, न ये तेरे बस की बात है।
Daad Dete Hain Tumhare Najar-Andaz Karne Ke Hunar Ko,Jisne Bhi Sikhaya Wo Ustaad Kamaal Ka Hoga.
दाद देते हैं तुम्हारे 'नजर-अंदाज' करने के हुनर को,जिसने भी सिखाया वो उस्ताद कमाल का होगा।
Tu Wo Jalim Hai Dil Me Rah Kar Bhi Mera Na Ban Saka,Aur Dil Wo Kafir Jo Mujhme Rah Kar Bhi Tera Ho Gaya
तू वो ज़ालिम है जो दिल में रह कर भी मेरा न बन सका,और दिल वो काफिर जो मुझमे रह कर भी तेरा हो गया। 


source https://www.meridileshayari.in/2019/11/whatsapp-shayari-status.html

Thursday 23 January 2020

Shayari On Maut And Zindagi

Shayari On Maut And Zindagi:- welcome to maut shayari on our website www.meridileshayari.in . we have a good collection on maut ki shayari and maut shayari in hindi. Hope you will like shayari on maut on our site. If you like it please share it on all social media likefacebook,whatsapp,etc
Shayari On Maut And Zindagi, maut shayari, shayari on maut, maut ki shayari, maut shayari in hindi, mast romantic shayari.
Shayari On Maut And Zindagi
Kisi Din Teri Najron Se Door Ho Jayenge Hum,
Dur Fizaon Mai Kahin Kho Jayenge Hum,
Meri Yaadon Se Lipat Kar Rone Aaoge Tum,
Jab Zameen Ko Odh Kar So Jayenge Hum.

किसी दिन तेरी नजरों से दूर हो जायेंगे हम,
दूर फिजाओं में कहीं खो जायेंगे हम,
मेरी यादों से लिपट कर रोने लगोगे,
जब ज़मीन को ओढ़ कर सो जायेंगे हम।

Main Ab Supurde-Khaak Hun Mujhko Jalana Chhod De,
Qabr Par Meri Tu Uske Saath Aana Chhod De,
Ho Sake Gar Tu Khushi Se Ashq Peena Seekh Le,
Ya Tu Aankhon Mein Apni Kajal Lagana Chhod De.

मैं अब सुपुर्दे ख़ाक हूँ मुझको जलाना छोड़ दे,
कब्र पर मेरी तू उसके साथ आना छोड़ दे,
हो सके गर तू खुशी से अश्क पीना सीख ले,
या तू आँखों में अपनी काजल लगाना छोड़ दे।

Ab Maut Se Keh Do Narajgi Khatm Kar Le,
Woh Badal Gaya Hai Jiske Liye Hum Zinda The.

अब मौत से कह दो कि नाराज़गी खत्म कर ले,
वो बदल गया है जिसके लिए हम ज़िंदा थे​।

Ai Maut Tujhe Ek Din Aana Hai Bhaley,
Aa Jati Shab-e-Furqat Mein Toh Ehsaan Hota.

ऐ मौत तुझे एक दिन आना है भले,
आ जाती शबे फुरकत में तो अहसां होता।

Kahani Khatm Ho Toh Kuchh Aise Khatm Ho,
Ke Log Rone Lage Taaliya Bajate Bajate.

कहानी खत्म हो तो कुछ ऐसे खत्म हो,
कि लोग रोने लगे तालियाँ बजाते बजाते।

Maut-o-Hasti Ki KashmKash Mein Kati Tamaam Umr,
Gam Ne Jeene Na Diya Shauq Ne Marne Na Diya.

मौत-ओ-हस्ती की कशमकश में कटी उम्र तमाम,
गम ने जीने न दिया शौक ने मरने न दिया।

Khabar SunKar Marne Ki Wo Bole Raqeebo Se,
Khuda Bakhse Bahut Si Khoobiyan Thi Marne Wale Mein.

खबर सुनकर मरने की वो बोले रक़ीबों से,
खुदा बख्शे बहुत-सी खूबियां थीं मरने वाले में।

Jala Hai Jism Toh Dil Bhi Jal Gaya Hoga,
Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justjoo Kya Hai.

जला है जिस्म तो दिल भी जल गया होगा,
कुरेदते तो जो अब राख जुस्तजू क्या है।

Uss Se Bichhde Toh Maloom Hua Maut Bhi Koi Cheej Hai,
Zindagi Woh Thi Jo Uski Mahfil Mein Gujaar Aaye.

उससे बिछड़े तो मालूम हुआ मौत भी कोई चीज़ है,
ज़िन्दगी वो थी जो उसकी महफ़िल में गुज़ार आए।

Teri Hi Justjoo Mein Ji Lee Ek Zindagi Maine,
Gale Mujhko Lagakar Khatm Saanso Ka Safar Kar De.

तेरी ही जुस्तजू में जी लिया इक ज़िंदगी मैंने,
गले मुझको लगाकर खत्म साँसों का सफ़र कर दे।

Baad-e-Fanaa Fizool Hai Naamo-Nishaan Ki Fikr,
Jab Hum Nahi Rahe Toh Rahega Mazaar Kya.

बादे-फना फिजूल है नामोनिशां की फिक्र,
जब हम नहीं रहे तो रहेगा मजार क्या?

Meri Zindagi Toh Gujri Tere Hijr Ke Sahare,
Meri Maut Ko Bhi Koi Na Koi Bahana Chahiye.

मेरी ज़िंदगी तो गुजरी तेरे हिज्र के सहारे,
मेरी मौत को भी कोई बहाना चाहिए।

Le Raha Hai Tu Khudaya Imtehaan Dar Imtehaan,
Par Syaahi Zindagi Ki Khatm Kyun Hoti Nahi.

ले रहा है तू खुदाया इम्तेहाँ दर इम्तेहाँ,
पर स्याही ज़िंदगी की खत्म क्यूँ होती नहीं।

Tasawwar Mein Na Jaane Katib-e-Taqdir Kya Tha,
Mera Anjaam Likha Hai Mere Aagaaz Se Pahle.

तसव्वर में न जाने कातिबे-तकदीर क्या था,
मेरा अंजाम लिखा है मेरे आगाज से पहले।

Chale Aao Musafir Aakhiri Saansein Bachi Hain Kuchh,
Tumhari Deed Ho Jaati Toh Khul Jaati Meri Aankhein.

चले आओ मुसाफिर आख़िरी साँसें बची हैं कुछ,
तुम्हारी दीद हो जाती तो खुल जातीं मेरे आँखें।

Yun Toh Haadson Mein Gujri Hai Humari Zindgi,
Haadsa Yeh Bhi Kam Nahi Ke Humein Maut Na Mili.

यूँ तो हादसों में गुजरी है हमारी ज़िंदगी,
हादसा ये भी कम नहीं कि हमें मौत ना मिली।

Ai Maut Thhahar Ja Tu Jara Mujhe Yaar Ka Intezar Hai,
Aayega Woh Jarur Agar Use Mujhse Sachcha Pyar Hai,

ऐ मौत ठहर जा तू जरा मुझे यार का इंतज़ार है,
आएगा वो जरूर अगर उसे मुझसे सच्चा प्यार है।

Sanson Ke Silsile Ko Na Do Zindagi Ka Naam,
Jeene Ke Bawajood Bhi Mar Jaate Hain Kuchh Log.

साँसों के सिलसिले को न दो ज़िंदगी का नाम,
जीने के बावजूद भी मर जाते हैं कुछ लोग।

Kis Se Mahroom-e-Kismat Ki Shikayat Keeje,
Humne Chaha Tha Ke Mar Jaayein So Woh Bhi Nahi Hua.

किससे महरूम-ए-किस्मत की शिकायत कीजे,
हमने चाहा था कि मर जायें सो वो भी नहीं हुआ।

Agar Kal Fursat Na Mili Toh Kya Hoga,
Itni Mohlat Na Mili Toh Kya Hoga,
Roj Kahte Ho Kal Milenge Kal Milenge,
Kal Meri Aankh Na Khili Toh Kya Hoga.

अगर कल फुर्सत न मिली तो क्या होगा,
इतनी मोहलत न मिली तो क्या होगा,
रोज़ कहते हो कल मिलेंगे कल मिलेंगे,
कल मेरी आँखे न खुली तो क्या होगा।

Zindagi Baithi Thi Apne Husn Pe Phooli Hui,
Maut Ne Aate Hi Saara Rang Feeka Kar Diya.

ज़िंदगी बैठी थी अपने हुस्न पे फूली हुई,
मौत ने आते ही सारा रंग फीका कर दिया।

Do Ghaz Zamin Sahi Meri Milkiyat Toh Hai,
Ai Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindar Kar Diya.

दो गज़ ज़मीन सही मेरी मिल्कियत तो है,
ऐ मौत तूने मुझको ज़मींदार कर दिया।

Barh Jaati Hai Meri Maut Ki Tareekh Khud-Ba-Khud Aage,
Jab Bhi Koi Teri Salamati Ki Khabar Le Aata Hai.

बढ़ जाती है मेरी मौत की तारीख खुद ब खुद आगे,
जब भी कोई तेरी सलामती की खबर ले आता है।

Kitni Aziyat Hai Iss Ehsaas Mein,
Ke Mujhe Tujhse Mile Bina Hi Mar Jana Hai.

कितनी अज़ीयत है इस एहसास में,
कि मुझे तुझसे मिले बिना ही मर जाना है।

Tamam Umar Jo Ki Humse Be-Rukhi Sab Ne,
Kafan Mein Hum Bhi Ajeezon Se Munh Chhupa Ke Chale.

तमाम उम्र जो हमसे बेरुखी की सबने,
कफ़न में हम भी अजीज़ों से मुँह छुपा के चले।

Lambi Umar Ki Duaa Mere Liye Na Maang,
Aisa Na Ho Ke Tum Bhi Chhod Do Aur Maut Bhi Na Aaye.

लम्बी उम्र की दुआ मेरे लिए न माँग,
ऐसा न हो कि तुम भी छोड़ दो और मौत भी न आये।

Wahi Tafreeq Ka Aalam Hai Baad-e-Marg Bhi Yaaro,
Na Katbe Ek Jaise Hain, Na Qabrein Ek Jaisi Hain.

वही तफरीक का आलम है बाद-ए-मर्ग भी यारों,
न कतबे एक जैसे हैं न कब्रें एक जैसी हैं।

Har Ek Saans Ka Tu Ehtraam Kar Varna,
Wo Jab Chahe, Jahan Chahe, Aakhiri Kar De.

हर एक साँस का तू एहतराम कर वरना,
वो जब भी चाहे, जहाँ चाहे, आखिरी कर दे।

Mujhe Rulakar Sona Toh Tumhari Aadat Ban Gayi Hai,
Gar Meri Aankh Na Khuli Toh Tum Tadapoge Bahut.

मुझे रुला कर सोना तो तुम्हारी आदत बन गई है,
गर मेरी आँख न खुली तो तुम तडपोगे बहुत।

Janaza Rok Kar Mera Woh Iss Andaaj Se Bole,
Gali Humne Kahi Thi Tum Toh Duniya Chhode Jate Ho.

जनाजा रोक कर मेरा वह इस अंदाज से बोले,
गली हमने कही थी तुम तो दुनिया छोड़े जाते हो।

Iss Marhale Ko Bhi Maut Hi Kehte Hain,
Jahan Ek Pal Mein Toot Jaye Umr Bhar Ka Sath.

इस मरहले को भी मौत ही कहते हैं,
जहाँ एक पल में टूट जाये उम्र भर का साथ।

Azal Ko Dosh Dein, Taqdeer Ko Royein, Mujhe Kosein,
Mere Qatil Ka Charcha Kyun Hai Mere Sogwaaron Mein.

अजल को दोष दें, तकदीर को रोयें, मुझे कोसें,
मेरे कातिल का चर्चा क्यों है मेरे सोगवारों में।

Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka,
Lekin Ye Dekhna Hai Ke Mitti Kahan Ki Hai.

ऐ हिज्र वक़्त टल नहीं सकता है मौत का,
लेकिन ये देखना है कि मिट्टी कहाँ की है।

Ai Azal Tujhse Yeh Kaisi Nadaani Hui,
Phool Woh Toda Chaman Bhar Mein Veerani Hui.

ऐ अजल तुझसे यह कैसी नादानी हुई,
फूल वो तोड़ा चमन भर में वीरानी हुई।

Aakhiri Deedar Kar Lo Khol Kar Mera Kafan,
Ab Na Sharmaao Ke Chashm-e-Muntzir Be-Noor Hai.

आखिरी दीदार कर लो खोल कर मेरा कफ़न,
अब ना शरमाओ कि चश्म-ए-मुन्तजिर बेनूर है।

Jara Chup-Chap Toh Baitho Ke Dum Aaram Se Nikle,
Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho.

जरा चुपचाप तो बैठो कि दम आराम से निकले,
इधर हम हिचकी लेते हैं उधर तुम रोने लगते हो।

Tum Samjhate Ho Ke Jeene Ki Talab Hai Mujh Ko,
Main Toh Iss Aas Mein Zinda Hun Ke Marna Kab Hai.

तुम समझते हो कि जीने की तलब है मुझको,
मैं तो इस आस में ज़िंदा हूँ कि मरना कब है।

Tamaam Gile-Shiqwe Bhula Kar Soya Karo Yaaro,
Suna Hai Maut Kisi Ko Koi Mauka Nahi Deti.

तमाम गिले-शिकवे भुला कर सोया करो यारो,
सुना है मौत किसी को कोई मौका नहीं देती।

Tumhara DabDabaa Khali Tumhari Zindagi Tak Hai,
Kisi Ki Qabr Ke Andar JameenDari Nahi Chalti.

तुम्हारा दबदबा खाली तुम्हारी ज़िंदगी तक है,
किसी की क़ब्र के अन्दर जमींदारी नहीं चलती।

Mil Jayenge Kuchh Humari Bhi Tareef Karne Wale,
Koi Humaari Maut Ki Afwaah Toh Udaao Yaaro.

मिल जाएँगे कुछ हमारी भी तारीफ़ करने वाले,
कोई हमारी मौत की अफवाह तो उड़ाओ यारों।

Meri Zindagi Toh Gujri Tere Hijr Ke Sahare,
Meri Maut Ko Bhi Pyare Koi Chahiye Bahana.

मेरी ज़िंदगी तो गुज़री तेरे हिज्र के सहारे,
मेरी मौत को भी प्यारे कोई चाहिए बहाना।


source https://www.meridileshayari.in/2020/01/shayari-maut-zindagi.html

Tuesday 21 January 2020

Kadar Nahi Meri Shayari

Get the best Kadar Shayari and latest  Kadar Shayari in Hindi on our website www.meridileshayari.in. we have a good collection of Shayari on Kadar and Kadar Nahi Meri Shayari. Hope you will like Kadar Karo Shayari and Kadar Nahi Shayari. Subscribe our website with an email for more Kader khan Shayari 
Kadar Shayari
Kadar Shayari,kadar shayari in hindi, shayari on kadar, kadar karo shayari, kadar nahi shayari, kader khan shayari, kadar nahi meri shayari.
Kadar Nahi Meri Shayari
जिन्दगी की हर सुबह कुछ शर्ते लेके आती है,
और जिन्दगी की हर शाम कुछ तर्जुबे देके जाती है,
ठोकर ना लगा मुझे पत्थर नही हूँ मैं,
हैरत से ना देख कोई मंज़र नही हूँ मैं,
उनकी नज़र में मेरी कदर कुछ भी नही,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नही हूँ मैं..
हद से ज्यादा बढ चूका है आपका नज़र अंदाज़ करना ,
ऐसा सलूक ना करो की हम भूलने पर मजबूर हो जाए .
एक छोटी सी गलती पर तू मुझे छोड़ गया ,
जैसे तू सदियों से मेरी गलती की तलाश में था.
kadar shayari in hindi,insan ki kadar shayari, love kadar shayari, kadar 2 line shayari, kadar shayari in english, kadar karo shayari, bekadar shayari in hindi, insaan ki kadar shayari, kadar thoughts in hindi.
kadar shayari in hindi
खुद में तूफ़ान को संभाल कर बैठे है, और हमसे कहते है ,थोड़ी सी हिम्मत दे दो.
Khud Mai Toofan Ko Sambhal Kar Baithe Hai Aur,Humse Kehte Hai , Tbodi See Himmat De Do,
एक दिल है और तूफ़ान-ए-हवादिस ऐ ज़िगर एक शीशा है कि हर पत्थर से टकराता हूँ मैं
Ek Dil Hai Aur Toofan -A- Hawadis  - A - ZiggerEk Sheesha Hai Ki Har Pather Se Takrata Hu Main

www.meridileshayari.in


source https://www.meridileshayari.in/2017/05/is-kadar-tera-charcha-meri-shayari.html

ilzaam Shayari in Hindi

Ilzaam shayari in hindi:- welcome to ilzaam shayari in urdu and ilzam shayari in hindi. we have a nice collection of shayari on ilzaamand ilzam shayari images. Hope you will like ilzaam sad shayari and ilzaam shayari in hindi images. If you like it plz share it on social media with your friends. Subscribe to our website www.meridileshayari.in for more upcoming shayaris
ilzaam Shayari in Hindi,ilzaam shayari in urdu, ilzam shayari in hindi, shayari on ilzaam, ilzam shayari images, ilzaam sad shayari, ilzaam shayari in hindi images.
ilzaam Shayari in Hindi
Bewafai Maine Nahin Ki Hai Mujhe Ilzaam Mat Dena,
Mera Suboot Mere Ashq Hain Mera Gawaah Mera Dard Hai .

बेवफाई मैंने नहीं की है मुझे इल्ज़ाम मत देना,
मेरा सुबूत मेरे अश्क हैं मेरा गवाह मेरा दर्द है ।

Khud Na Chhupa Sake Wo Apna Chehra Nakaab Mein,
Bevajah Hamari Aankhon Pe Ilzaam Lag Gaya.

खुद न छुपा सके वो अपना चेहरा नकाब में,
बेवजह हमारी आँखों पे इल्ज़ाम लग गया।

Fhikr Hai Sabko Khud Ko Sahi Saabit Karne Ki,
Jaise Ye Zindgi, Zindagi Nahi, Koi Ilzaam Hai.

फिक्र है सबको खुद को सही साबित करने की,
जैसे ये जिन्दगी, जिन्दगी नही, कोई इल्जाम है।

Koi Iljaam Rah Gaya Ho To Wo Bhi De Do,
Pahle Bhi Ham Bure The, Ab Thode Aur Sahi.

कोई इल्जाम रह गया हो तो वो भी दे दो,
पहले भी हम बुरे थे, अब थोड़े और सही।

Chiraag Jalane Ka Saleeka Seekho Saahab
Havaon Pe Ilzaam Lagane Se Kya Hoga.

चिराग जलाने का सलीका सीखो साहब
हवाओं पे इल्ज़ाम लगाने से क्या होगा।

Udaas Waqt, Udaas Zindagi, Udaas Mausam,
Kitni Cheejo Pe Iljaam Laga Hai Tere Na Hone Se.

उदास वक्त, उदास जिन्दगी, उदास मौसम,
कितनी चीजो पे इल्जाम लगा है तेरे ना होने से।

Har Iljaam Ka Hakdaar Wo Hame Bana Jaate Hain,
Har Khata Ki Saja Wo Hame Suna Jaate Hain,
Ham Har Baar Chup Rah Jaate Hain,
Kyuki Wo Apana Hone Ka Hak Jata Jaate Hain.

हर इल्जाम का हकदार वो हमे बना जाते है,
हर खता कि सजा वो हमे सुना जाते है,
हम हर बार चुप रह जाते है,
क्योंकि वो अपना होने का हक जता जाते है।

Meri Najron Ki Taraf Dekh Jamanen Par Na Ja,
Ishq Maasoom Hai Iljaam Lagaane Par Na Ja.

मेरी नजरों की तरफ देख जमानें पर न जा,
इश्क मासूम है इल्जाम लगाने पर न जा।

Hans Kar Kabool Kya Kar Li Sajaen Maine,
Zamane Ne Dastoor Hi Bana Liya Har Ilzaam Mujh Par Madhne Ka.

हँस कर कबूल क्या कर ली सजाएँ मैंने,
ज़माने ने दस्तूर ही बना लिया हर इलज़ाम मुझ पर मढ़ने का।

Ye Milaavat Ka Daur Hai Janaab Yahaan,
Iljaamaat Lagaye Jaate Hain Taarifon Ke Libas Mein.

ये मिलावट का दौर है जनाब यहाँ,
इल्जामात लगाये जाते हैं तारिफों के लिबास में।

Lafjon Se Itna Aashikana Theek Nahin Hai Zanaab,
Kisi Ke Dil Ke Paar Hue To Iljaam Qatl Ka Lagega.

लफ्जों से इतना आशिकाना ठीक नहीं है ज़नाब,
किसी के दिल के पार हुए तो इल्जाम क़त्ल का लगेगा।

#Bewafa To Wo Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur Ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Labon Par,
Ab Wo Naam Kisi Aur Ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chhorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai.

#बेवफा तो वो खुद थी,
पर इल्ज़ाम किसी और को देती है.
पहले नाम था मेरा उसके लबों पर,
अब वो नाम किसी और का लेती है
कभी लेती थी वादा मुझसे साथ न छोड़ने का,
अब बही वादा किसी और से लेती है।
Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye,
Aaj Tak Wo Mujhe Pehchaan Na Paye,
Khud He Kar Li Bewafai Humne,
Taaki Un par Koi Ilzaam Na Aaye.

जान कर भी वो मुझे जान न पाए,
आज तक वो मुझे पहचान न पाए,
खुद ही कर ली बेवफाई हमने,
ताकि उन पर कोई इलज़ाम न आये।

Dil-E-Barbaad Ka Main Tujhe Ilzaam Nahi Deta ...
Haan Apne Lafzon Mein Tere Zurm Jaroor Likhta Hoon,
Lekin Tera Naam Nahi Leta ।

दिल-ए-बर्बाद का मैं तुझे इल्ज़ाम नहीं देता,
हाँ अपने लफ़्ज़ों में तेरे जुर्म जरूर लिखता हूँ,
लेकिन तेरा नाम नहीं लेता।

Mujh Par Ilzaam Har Baar Lagana Theek Nahin,
Wafa Khud Se Nahin Hoti Khafa Ham Par Hote Ho.

मुझ पर इल्जाम हर बार लगाना ठीक नहीं,
वफ़ा खुद से नहीं होती खफा हम पर होते हो।

Har Baar Hum Par,
Ilzaam Laga Dete Ho Mohhabat Ka,
Kabhi Khud Se Pucha Hai,
Ki Itne Haseen Kyu Ho.

हर बार हम पर,
इल्ज़ाम लगा देते हो मोहब्बत का,
कभी खुद से पूछा है,
की इतने हसीन क्यों हो।

Tu Kahin Bhi Rah Tere Sar Pe Iljaam To Hai,
Tere Haathon Ki Lakeeron Mein Mera Naam To Hai,
Mujhe Apna Bana Ya Na Bana Teri Marji,
Par Tu Mere Naam Se Badnaam To Hai.

तू कहीं भी रह तेरे सर पे इल्जाम तो है,
तेरे हाथों की लकीरों में मेरा नाम तो है,
मुझे अपना बना या ना बना तेरी मर्जी,
पर तू मेरे नाम से बदनाम तो है।

Teri Aankhon Se Door Jaane Ke Bhi Liye Taiyar To The Ham,
Phir Is Tarah, Nazren Ghumane Ki Jarurat Kya Thi,
Tere Ik Ishare Par Ham Iljaam Bhi Apne Sar Le Lete,
Phir Bevajah, Jhoothe Iljaam Lagane Ki Jarurat Kya Thi.

तेरी आँखों से दूर जाने के भी लिए तैयार तो थे हम,
फिर इस तरह, नज़रें घुमाने की जरूरत क्या थी,
तेरे इक इशारे पर हम इल्जाम भी अपने सर ले लेते,
फिर बेवजह, झूठे इल्जाम लगाने की जरुरत क्या थी।

Galtiyon Se Anjaan Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi,
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi,
Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi।

गलतियों से अंजान तू भी नहीं, मैं भी नहीं
दोनों इंसान हैं, खुदा तू भी नहीं, मैं भी नहीं,
तू मुझे और मैं तुझे इल्ज़ाम देता हूँ मगर,
अपने अंदर झाँकता तू भी नहीं, मैं भी नही।

Kismaten Badal Jaati Hai,
Jab Zindagi Ka Koi Maksad Ho,
Varna Zindagi To Kat Hi Jaati Hai,
Takdeer Ko Iljaam Dete Dete.

किस्मतें बदल जाती है,
जब ज़िन्दगी का कोई मकसद हो,
वरना ज़िन्दगी तो कट ही जाती है,
तकदीर को इल्जाम देते देते।

Tumne Hi Laga Diya Ilzaam-E-Bewafai,
Adalat Bhi Teri Thi Gavaah Bhi Tu Hi Thi.

तूमने ही लगा दिया इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई,
अदालत भी तेरी थी गवाह भी तू ही थी।

Duniya Ko Meri Hakeekat Ka Pata Kuchh Bhi Nahin,
Ilzaam Hazaro Hain Par Khata Kuchh Bhi Nahin.

दुनिया को मेरी हकीकत का पता कुछ भी नहीं,
इल्जाम हजारो हैं पर खता कुछ भी नहीं।


source https://www.meridileshayari.in/2020/01/ilzaam-shayari-in-hindi.html

Sunday 19 January 2020

Kash Shayari - काश शायरी

Get the best kash shayari and dil kash shayari . we have a nice collection of kash tum samjh pate  shayari and kash koi apna hota shayari. Hope you will like kash maut aa jaye shayari and kaash aisa hota shayari. If you like kash main emotional shayari then share it on social media.
kash koi apna hota shayari
kash shayari, dil kash shayari, kash tum samjh pate shayari, kash koi apna hota shayari, kash maut aa jaye shayari, kaash aisa hota shayari, kash main emotional shayari, kash koi apna hota shayari, kaash shayari in hindi, kaash aisa hota shayari, kaash tum hote shayari, kaash shayari hindi, kaash shayari in urdu, kaash shayari images.
Kash Shayari
Apni Khushiyaan Lutakar Uspar Kurbaan Ho Jaun,
Kaash Kuchh Din Uske Shahar Ka Mehmaan Ho Jaun,
Wo Apna Nayab Dil Mujhko Dede, Aur Phir
Vapas Mange, Main Mukar Jaun Aur Beimaan Ho Jaun.

अपनी खुशियाँ लुटाकर उसपर कुर्बान हो जाऊ,
काश कुछ दिन उसके शहर का मेहमान हो जाऊ,
वो अपना नायाब दिल मुझको देदे, और फिर
वापस मांगे, मैं मुकर जाऊ और बेईमान हो जाऊ।
kaash shayari in hindi
Kaash Koi Apna Ho To Aaeene Jaisa Ho,
Jo Hanse Bhi Saath Mere Aur Roye Bhi Saath.

काश कोई अपना हो तो आईने जैसा हो,
जो हँसे भी साथ मेरे और रोए भी साथ।

Kaash... Main Pani Hota Aur Tu Pyaas Hoti,
Na Main Khafa Hota Aur Na Tu Udaas Hoti,
Jab Bhi Tum Meri Nigahon Se Door Hote,
Main Tera Naam Leta Aur Tu Mere Paas Hoti.

काश... मैं पानी होता और तू प्यास होती,
न मैं खफा होता और न तू उदास होती,
जब भी तुम मेरी निगाहों से दूर होते,
मैं तेरा नाम लेता और तू मेरे पास होती।
kaash aisa hota shayari
Kaash Wo Samajhte Is Dil Ki Tadap Ko,
To Hamen Yun Rusva Na Kiya Jaata,
Ye Berukhi Bhi Unki Manjoor Thi Hamen,
Ek Baar Bas Hamen Samajh Liya Hota.

काश वो समझते इस दिल की तड़प को,
तो हमें यूँ रुसवा ना किया जाता,
ये बेरुखी भी उनकी मंजूर थी हमें,
एक बार बस हमें समझ लिया होता।

Uski Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kaash... Usko Bhi Meri Qismat Mein Likha Hota.

उसकी हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश... उसको भी मेरी क़िस्मत में लिखा होता।
kaash tum hote shayari
Kaash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yadon Ki Tarah,
Na Waqt Dekhe Na Bahana Bas Chali Aaye.


काश तू भी बन जाए तेरी यादों कि तरह,
न वक़्त देखे न बहाना बस चली आये।

Khuda Kare Kaash Wo Achanak Samne Aakar,
Mere Labon Ko Kuchh Naye Savaal De Jaay.

खुदा करे काश वो अचानक सामने आकर,
मेरे लबों को कुछ नए सवाल दे जायें।
kaash shayari hindi
Kaash... Tu Samajh Sakti Mohabbat Ke Usoolo Ko,
Kisi Ki Sanso Mein Samakar Use Tanha Nahin Karte.

काश... तू समझ सकती मोहब्बत के उसूलो को,
किसी की सांसो में समाकर उसे तन्हा नहीं करते।

Kaash... Main Pani Hota Aur Tu Pyaas Hoti,
Na Main Khafa Hota Aur Na Tu Udaas Hoti,
Jab Bhi Tum Meri Nigahon Se Door Hote,
Main Tera Naam Leta Aur Tu Mere Paas Hoti.

काश... मैं पानी होता और तू प्यास होती,
न मैं खफा होता और न तू उदास होती,
जब भी तुम मेरी निगाहों से दूर होते,
मैं तेरा नाम लेता और तू मेरे पास होती।
kaash shayari in urdu
Kaash Phir Milne Ki Vajah Mil Jaye,
Saath Jitna Bhi Bitaya Wo Pal Mil Jaye,
Chalo Apni Apni Aankhen Band Kar Len,
Kya Pata Khwabon Mein Guzra Hua Kal Mil Jaye.

काश फिर मिलने की वजह मिल जाए,
साथ जितना भी बिताया वो पल मिल जाए,
चलो अपनी अपनी आँखें बंद कर लें,
क्या पता ख़्वाबों में गुज़रा हुआ कल मिल जाए।

Gair Ko Aane Na Doon Tum Ko Kahin Jaane Na Doon,
Kaash... Mil Jaye Tumhare Ghar Ki Darbaani Mujhe.

ग़ैर को आने न दूँ तुम को कहीं जाने न दूँ,
काश... मिल जाए तुम्हारे घर की दरबानी मुझे।
kaash shayari images


source https://www.meridileshayari.in/2020/01/kash-shayari.html