Wednesday, 15 January 2020

Maa Shayari 2 Lines Hindi

Get the best Maa Shayari 2 Lines Hindi on our website www.meridileshayari.in. we have a nice collection of maa shayari. we all love our mother. our team have brought for you the top mom dad shayari collection.
                                  Hope you will like our shayari on ma shayari and maa baap shayari. If you like maa shayari hindi and maa shayari in hindi then share the ma shayari in hindi and maa ke liye shayari on social media and WhatsApp with your friends and family.

Maa Shayari 
maa shayari, mother,top mom dad shayari collection,best Maa Shayari 2 Lines Hindi,www.meridileshayari.in ,shayari on ma shayari,maa baap shayari,maa shayari hindi, maa shayari in hindi, ma shayari in hindi, maa ke liye shayari
Maa Shayari 2 Lines Hindi
Baalaen Aakar Bhi Meri Chaukhat Se Laut Jaati Hain,Meri Maa Ki Duayen Bhi Kitna Asar Rakhti Hain.
बालाएं आकर भी मेरी चौखट से लौट जाती हैं,मेरी माँ की दुआएं भी कितना असर रखती हैं।
Shahar Mein Aa Kar Padhne Wale Ye Bhool Gaye,Kis Ki Maa Ne Kitna Zevar Becha Tha.
शहर में आ कर पढ़ने वाले ये भूल गए,किस की माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।
Ek Muddat Se Meri Maa Nahin Soyi...Maine Ik Baar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai.
एक मुद्दत से मेरी माँ नहीं सोई...मैंने इक बार कहा था मुझे डर लगता है।
Shayad Yunhi Simat Saken Ghar Ki Zarooratein,‘Tanaveer’ Maa Ke Haath Mein Apni Kamai De.
शायद यूँही सिमट सकें घर की ज़रूरतें,‘तनवीर’ माँ के हाथ में अपनी कमाई दे।
Kal Maa Ki God Mein, Aaj Maut Ki Aagosh Mein,Ham Ko Duniya Mein Ye Do Waqt Bade Suhane Se Mile.
कल माँ की गोद में, आज मौत की आग़ोश में,हम को दुनिया में ये दो वक़्त बड़े सुहाने से मिले।
Wo Ujla Ho Ke Maila Ho Ya Manhga Ho Ke Sasta Ho,Ye Maa Ka Sar Hai Is Pe Har Dupatta Muskurata Hai.
वो उजला हो के मैला हो या मँहगा हो के सस्ता हो,ये माँ का सर है इस पे हर दुपट्टा मुस्कुराता है।
Jiske Hone Se Main Khud Ko Mukkammal Maanta Hoon,Mere Rab Ke Baad Main Bas Apni Maa Ko Janta Hoon.
जिसके होने से मैं खुद को मुक्कम्मल मानता हूँ,मेरे रब के बाद मैं बस अपनी माँ को जानता हूँ।
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi,Main Ghar Mein Sabse Chhota Tha Mere Hisse Mein Maa Aayi.
किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आयी,मैं घर में सबसे छोटा था मेरे हिस्से में माँ आयी।
Meri Khwahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaoon,Maa Se Is Tarah Lipat Jaoon Ki Bachcha Ho Jaoon.
मेरी ख़्वाहिश है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ,माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि बच्चा हो जाऊँ।
Teri Dibbe Ki Wo Do Rotiya Kahin Bikti Nahin,Maa ! Menhge Hotlon Mein Aaj Bhi Bhookh MitTi Nahin.
तेरी डिब्बे की वो दो रोटिया कही बिकती नहींमाँ मेंहगे होटलों में आज भी भूख मिटती नहीं
Bhool Jaata Hoon Pareshaniyan Zindagi Ki Saari,Maa Apni God Mein Jab Mera Sar Rakh Leti Hai.
भूल जाता हूँ परेशानियां ज़िंदगी की सारी,माँ अपनी गोद में जब मेरा सर रख लेती है।
Jab Bhi Dekha Mere Kiradaar Pe Dhabba Koi,Der Tak Baith Ke Tanhayi Mein Roya Koi."Meri Maa"
जब भी देखा मेरे किरदार पे धब्बा कोई,देर तक बैठ के तन्हाई में रोया कोई।"मेरी माँ"
Bahut Bechain Ho Jata Hai Jab Kabhi Dil Mera,Main Apne Pars Mein Rakhi Maa Ki Tasveer Ko Dekh Leta Hoon.
बहुत बेचैन हो जाता है जब कभी दिल मेरा,मैं अपने पर्स में रखी माँ की तस्वीर को देख लेता हूँ।
Pahado Jaise Sadme Jhelti Hai Umr Bhar Lekin,Ik Aulad Ki Takleef Se Maa Toot Jati Hai.
पहाड़ो जैसे सदमे झेलती है उम्र भर लेकिन,इक औलाद की तकलीफ़ से माँ टूट जाती है।
Wo Lamha Jab Mere Bachche Ne Maa Pukara Mujhe,Main Ek Shaakh Se Kitna Ghana Darakht Huyi.
वो लम्हा जब मेरे बच्चे ने माँ पुकारा मुझे,मैं एक शाख़ से कितना घना दरख़्त हुई।
Maa ! Ke Aage Yoon Hi Kabhi Khul Kar Nahin Rona,Jahan Buniyaad Ho, Itni Nami Achchhi Nahin Hoti.
माँ ! के आगे यूँ ही कभी खुल कर नहीं रोना,जहाँ बुनियाद हो, इतनी नमी अच्छी नहीं होती।
Mere Chehare Pe Mamta Ki Faravani Chamakti Hai,Main Boodha Ho Raha Hoon Phir Bh Peshaani Chamakt Hai.
मेरे चेहरे पे ममता की फ़रावानी चमकती है,मैं बूढ़ा हो रहा हूँ फिर भी पेशानी चमकती है।
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
माँ तेरी याद सताती है मेरे पास आ जाओ,थक गया हूँ मुझे अपने आँचल मे सुलाओ,उंगलियाँ अपनी फेर कर बालो में मेरे,एक बार फिर से बचपन कि लोरियां सुनाओ।
Din Ki Roshni Khwabon Ko Banane Mein Gujar Gayi,Raat Ki Neend Bachche Ko Sulane Mein Gujar Gayi,Jis Makaan Mein Tere Naam Ki Takhti Bhi Nahi Hai,Saari Umar Uss Makaan Ko Banane Mein Gujar Gayi.
दिन की रौशनी ख्वाबो को बनाने मे गुजर गयी,रात की नींद बच्चे को सुलाने मे गुजर गयी,जिस मकान मे तेरे नाम की तख्ती भी नहीं है,सारी उम्र उस मकान को बनाने मे गुजर गयी।
Kitaabon Se Nikal Kar Titaliyaan Gazalen Sunati Hain,Tifin Rakhti Hai Meri Maa To Basta Muskuraata Hai.
किताबों से निकल कर तितलियाँ ग़ज़लें सुनाती हैं,टिफ़िन रखती है मेरी माँ तो बस्ता मुस्कुराता है।
Isaliye Chal Na Saka Koi Bhi Khanjar Mujh Par,Meri Shah-Rag Pe Meri Maa Ki Dua Rakh Thi.
इसलिए चल न सका कोई भी ख़ंजर मुझ पर,मेरी शह-रग पे मेरी माँ की दुआ रखी थी।
Besan Ki Roti Par, Khatti Chatni Jaisi Maa..Yaad Aati Hai Chauka, Baasan, Chimta, Phoonkni Jaisi Maa.
बेसन की रोटी पर, खट्टी चटनी सी माँ...याद आती है चौका, बासन, चिमटा, फूंकनी जैसी माँ।
Oopar Jiska Ant Nahin Use "Aasmaan" Kahte Hain,Is Jahan Mein Jiska Ant Nahin Use "Maa" Kahte Hain.
ऊपर जिसका अंत नहीं उसे "आसमां" कहते हैं,इस जहाँ में जिसका अंत नहीं उसे "माँ" कहते हैं।
Dil Todna Kabhi Nahin Aaya Mujhe,Pyar Karna Jo Seekha Hai Maa Se.
दिल तोड़ना कभी नहीं आया मुझे,प्यार करना जो सीखा है माँ से।
Jannat Ka Har Lamha, Deedaar Kiya Tha,God Me Uthakar Jab Maa Ne Pyar Kiya Tha.
जन्नत का हर लम्हा, दीदार किया था,गोद मे उठाकर जब माँ ने प्यार किया था।
Meri Taqdeer Mein Kabhi Koi Gam Nahi Hota,Agar Taqdeer Likhne Ka Haq Meri Maa Ko Hota.
मेरी तक़दीर में कभी कोई गम नही होता,अगर तक़दीर लिखने का हक़ मेरी माँ को होता।
Neend Bhi Bhala In Aankhon Mein Kahan Aati Hai,Ek Arse Se Maine Apni Maa Ko Nahin Dekha.
नींद भी भला इन आँखों में कहाँ आती है,एक अर्से से मैंने अपनी माँ को नहीं देखा।
Koi Dua Asar Nahin Karati,Jab Tak Wo Ham Par Najar Nahin Karti,Ham Uski Khabar Rakhe Na Rakhe,Wo Kabhi Hamen Bekhabar Nahin Karti.
कोई दुआ असर नहीं करती,जब तक वो हम पर नजर नहीं करती,हम उसकी खबर रखे न रखे,वो कभी हमें बेखबर नहीं करती।
Yun Hi Nahin Goonjti Kilakariyan‬ Ghar Aangan‬ Ke Kone Mein,Jaan ‎Hatheli‬ Par Rakhni‪ Padti Hai "Maa" Ko "‪Maa‬" Hone Mein.
यूं ही नहीं गूंजती किलकारियां‬ घर आँगन‬ के कोने में,जान ‎हथेली‬ पर रखनी‪ पड़ती है "माँ" को "‪माँ‬" होने में।
Ai Andhere! Dekh Le Munh Tera Kaala Ho Gaya,Maa Ne Aankhen Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya.
ऐ अँधेरे! देख ले मुँह तेरा काला हो गया,माँ ने आँखें खोल दीं घर में उजाला हो गया।
Is Tarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai,Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai.
इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है,माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है।
Maa Ki Ajmat Se Achchha Jaam Kya Hoga,Maa Ki Khidmat Se Achchha Kaam Kya Hoga,Khuda Ne Rakh Di Ho Jis Ke Kadmo Mein Jannat,Socho Uske Sar Ka Mukaam Kya Hoga.
माँ की अजमत से अच्छा जाम क्या होगा,माँ की खिदमत से अच्छा काम क्या होगा,खुदा ने रख दी हो जिस के कदमों में जन्नत,सोचो उसके सर का मुकाम क्या होगा।
Jab Jab Kagaz Par Likha, Maine "Maa" Ka Naam,Kalam Adab Se Bol Uthi, Ho Gaye Chaaro Dham.
जब जब कागज पर लिखा, मैने "माँ" का नाम,कलम अदब से बोल उठी, हो गये चारो धाम।
Main Raat Bhar Jannat Ki Sair Karta Raha Dosto,Aankh Khuli To Dekha Mera Sar Maa Ki God Mein Tha.
मैं रात भर जन्नत की सैर करता रहा दोस्तो,आँख खुली तो देखा मेरा सर माँ के गोद में था।
Khoobsurti Ki Intha Bepanah Dekhi,Jab Maine Muskurati Huyi Maa Dekhi.
खूबसूरती की इंतहा बेपनाह देखी,जब मैंने मुस्कुराती हुई माँ देखी।
Thokar Na Maar Mujhe Patthar Nahi Hun Main,Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hun Main.Teri Nazaron Me Meri Kadar Kuchh Bhi Nahi,Meri Maa Se Pooch Uske Liye Kya Nahi Hun Main.
ठोकर न मार मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,हैरत से न देख मुझे मंज़र नहीं हूँ मैं,तेरी नज़रों में मेरी क़दर कुछ भी नहीं,मेरी माँ से पूछ उसके लिए क्या नहीं हूँ मैं।
Ai Raat Mujhe Maa Ki Tarah God Mein Le Le Aaj,Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Toot Raha Hai.
ऐ रात मुझे माँ की तरह गोद में ले ले आज,दिन भर की मशक़्क़त से बदन टूट रहा है।
Mujhe Kadhe Huye Takiye Ki Kya Zaroorat Hai,Kisi Ka Haath Abhi Mere Sar Ke Neeche Hai."Meri Maa"
मुझे कढ़े हुए तकिये की क्या ज़रूरत है,किसी का हाथ अभी मेरे सर के नीचे है।"मेरी माँ"
Bujurgon Ka Mere Dil Se Abhi Tak Dar Nahin Jaata Dosto,Ki Jab Tak Jaagti Rahti Hai Maa Main Ghar Nahin Jaata.
बुज़ुर्गों का मेरे दिल से अभी तक डर नहीं जाता दोस्तो,कि जब तक जागती रहती है माँ मैं घर नहीं जाता।
Bheje Gaye Farishte Hamare Bachav Ko,Jab Hua Hadasaat Maa Ki Dua Se Ulajh Pade.
भेजे गए फ़रिश्ते हमारे बचाव को,जब हुआ हादसात माँ की दुआ से उलझ पड़े।
Kaun Si Hai Wo Cheez Jo Yahan Nahin Milti,Sab Kuchh Mil Jata Hai Par Maa Nahi Milati.
कौन सी है वो चीज़ जो यहाँ नहीं मिलती,सब कुछ मिल जाता है पर माँ नहीं मिलती।
Kadam Jab Choomle Manzil To Jazba Muskurata Hai,Dua Lekar Chalo Maa Ki To Rasta Muskurata Hai.
कदम जब चूमले मंज़िल तो जज़्बा मुस्कुराता है,दुआ लेकर चलो माँ की तो रस्ता मुस्कुराता है।
Dua Ko Haath Uthate Huye Larazta Hoon Aarif,Kabhi Dua Nahin Maangi Thi Maa Ke Hote Hue.
दुआ को हाथ उठाते हुए लरज़ता हूँ आरिफ़,कभी दुआ नहीं माँगी थी माँ के होते हुए।
Khaane Kei Cheezen Maa Ne Jo Bheji Hain Gaon Se,Basi Bhi Ho Gai Hain, To Lazzat Vahi Rahi.
खाने की चीज़ें माँ ने जो भेजी हैं गाँव से,बासी भी हो गई हैं, तो लज़्ज़त वही रही।
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dekhi Hai,Maine Jannat To Nahin Dekhi Hai Maa Dekh Hai.
चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Ye Aisa Karz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahin Sakta,Main Jab Tak Ghar Na Lautu, Meri Maa Sazde Mein Rahti Hai
ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है।
Mujhe Bas Is Liye Achchhi Bahar Lagti Hai,Ki Ye Bhi Maa Ki Tarah Khushgawar Lagti Hai.
मुझे बस इस लिए अच्छी बहार लगती है,कि ये भी माँ की तरह ख़ुशगवार लगती है।
Pahle Ye Kaam Bade Pyar Se Maa Karti Thi,Ab Hamen Dhoop Jagati Hai To Duhkh Hota Hai.
पहले ये काम बड़े प्यार से माँ करती थी,अब हमें धूप जगाती है तो दुःख होता है।
Mainne Kal Shab Chaahaton Ki Sab Kitaben Phaad Di,Sirf Ik Kaagaz Pe Likha Lafz—E—Maa Rahane Diya
मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दीं,सिर्फ़ इक काग़ज़ पे लिक्खा लफ़्ज़—ए—माँ रहने दिया।
Hadason Ki Gard Se... Khud Ko Bachane Ke Liye,Maa Ham Apne Saath Bas Teri Dua Le Jaayenge.
हादसों की गर्द से... ख़ुद को बचाने के लिए,माँ हम अपने साथ बस तेरी दुआ ले जायेंगे।
Khud Ko Is Bheed Mein Tanha Nahin Hone Denge,Maa ! Tujhe Ham Abhi Budha Nahin Hone Denge.
ख़ुद को इस भीड़ में तन्हा नहीं होने देंगे,माँ ! तुझे हम अभी बूढ़ा नहीं होने देंगे।
Aankhon Se Mangne Lage Paani Vazoo Ka Ham,Kaagaz Pe Jab Bhi Dekh Liya Maa Likha Hua.
आँखों से माँगने लगे पानी वज़ू का हम,काग़ज़ पे जब भी देख लिया माँ लिखा हुआ।


source https://www.meridileshayari.in/2020/01/maa-shayari-2-lines-hindi.html

No comments:

Post a Comment