Find the best Zindagi Shayari Hindi 2 Line and zindagi shayari sad. we have a nice collection of
zindagi shayari in hindi and zindagi shayari hindi. Hope you will like zindagi ki shayari and zindagi shayari with images. Subscribe our website www.meridileshayari.in with email for more zindagi shayari urdu and zindagi shayari image
zindagi shayari in hindi and zindagi shayari hindi. Hope you will like zindagi ki shayari and zindagi shayari with images. Subscribe our website www.meridileshayari.in with email for more zindagi shayari urdu and zindagi shayari image
Zindagi Shayari
Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahachanati Nahin,
Yun Dekhti Hai... Jaise Mujhe Janati Hi Nahin.
कुछ दिन से ज़िंदगी मुझे पहचानती नहीं,
यूँ देखती है... जैसे मुझे जानती ही नहीं।
Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin,
Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon.
जो पढ़ा है उसे जीना ही नहीं है मुमकिन,
ज़िंदगी को मैं किताबों से अलग रखता हूँ।
Kabhi Khirad Kabhi Deewangi Ne Loot Liya,
Tarah Tarah Se Hamen Zindagi Ne Loot Liya.
कभी ख़िरद कभी दीवानगी ने लूट लिया,
तरह तरह से हमें ज़िंदगी ने लूट लिया।
Khwabon Par Ikhtiyaar Na Yaadon Pe Zor Hai,
Kab Zindagi Guzari Hai Apane Hisaab Mein.
ख़्वाबों पर इख़्तियार न यादों पे ज़ोर है,
कब ज़िंदगी गुज़ारी है अपने हिसाब में।
Kabhi Khole To Kabhi Zulf Ko Bikhraye Hai,
Zindagi Sham Hai Aur Sham Dhali Jaye Hai.
कभी खोले तो कभी ज़ुल्फ़ को बिखराए है,
ज़िंदगी शाम है और शाम ढली जाए है।
Kabhi Saaya Hai Kabhi Dhoop Muqaddar Mera,
Hota Rahta Hai Yun Hi Qarz Barabar Mera.
कभी साया है कभी धूप मुक़द्दर मेरा,
होता रहता है यूँ ही क़र्ज़ बराबर मेरा।
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itne Qareeb Se,
Chehre Tamam Lagne Lage Hain Ajeeb Se.
देखा है ज़िंदगी को कुछ इतने क़रीब से,
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से
Katati Hai Aarzoo Ke Sahare Par Zindagi,
Kaise Kahun Kisi Ki Tamanna Na Chaahiye.
कटती है आरज़ू के सहारे पर ज़िंदगी,
कैसे कहूँ किसी की तमन्ना न चाहिए।
Kabhi Khirad Kabhi Deewangi Ne Loot Liya,
Tarah Tarah Se Hamen Zindagi Ne Loot Liya.
कभी ख़िरद कभी दीवानगी ने लूट लिया,
तरह तरह से हमें ज़िंदगी ने लूट लिया।
Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe Bithaye Rakhna,
Zindagi Nagavaar Sahi Dil Se Lagaye Rakhna.
कभी आँखों पे कभी सर पे बिठाए रखना,
ज़िंदगी नागवार सही दिल से लगाए रखना।
Kya Likhun Hakeekat-E-Dil Aarzoo Behos Hai,
Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.
क्या लिखूं हकीकत-इ-दिल आरज़ू बेहोश है,
खत पर आंसू बह रहे हैं कलम खामोश है.
Hajaron Uljhanen Rahon Mein Aur Koshishen Behisab,
Isi Ka Naam Hai Zindagi Chalte Rahiye Janaab.
हजारों उलझनें राहों में और कोशिशें बेहिसाब,
इसी का नाम है ज़िन्दगी चलते रहिये जनाब।
Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Kah Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaeyga.
कितनी सच्चाई से मुझ से ज़िंदगी ने कह दिया,
तू नहीं मेरा तो कोई दूसरा हो जाएगा।
Lekar Aayi Hai Kis Maqam Pe Ye Zindagi Mujhe,
Mahsoos Ho Rahi Hai Khud Apni Kami Mujhe.
लेकर आयी है किस मक़ाम पे ये ज़िंदगी मुझे,
महसूस हो रही है ख़ुद अपनी कमी मुझे।
Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho,
Zindagi Kya Hai Kitaabon Ko Hata Kar Dekho.
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो,
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Kis Tarah Jama Karen Ab Apne Aap Ko,
Kagaz Bikhar Rahe Hain Purani Kitab Ke.
किस तरह जमा करें अब अपने आप को,
काग़ज़ बिखर रहे हैं पुरानी किताब के।
source https://www.meridileshayari.in/2020/01/zindagi-shayari-hindi-2-line.html
No comments:
Post a Comment