Thursday, 16 January 2020

Shayari On Nafrat

Shayari On Nafrat mai aapka sawagat hai meridileshayari mei. Nafrat aur pyaar sath sath chalte hai zindagi mai. Jaha hum apne chahne wale ko pyaar karte hai wohi kahi nafrat v shuppi hoti hai dil ke kisi kone mai , Je tabi dikhayi deti hai jab samne wala koi galti karta hai.
Shayari On Nafrat
shayari on nafrat, nafrat ki shayari, shayari on nafrat in urdu, hate shayari on nafrat, shayari in nafrat, nafrat wali shayari, shayari about nafrat.
Shayari On Nafrat

Dekh Kar Usko Tera Yoon Palat Jana,Nafrat Bata Rahi Hai, Tune Mohabbat Ghazab Ki Ki Thi.

देख कर उसको तेरा यूँ पलट जाना,नफरत बता रही है तूने मोहब्बत गज़ब की की थी।
Baith Kar Sochte Hain Ab Ke Kya Khoya Kya Paya,Unki Nafrat Ne Tode Bahut Meri Wafa Ke Ghar.
बैठ कर सोचते हैं अब कि क्या खोया क्या पाया,उनकी नफरत ने तोड़े बहुत मेरी वफ़ा के घर।
Bhulana Hi Tha Mujhko Toh Nafrat Ka Sahara Kyun,Doobne Dete Mujhko Yun Hi Dikhaya Tha Kinara Kyun.
भुलाना ही था मुझको तो नफरत का सहारा क्यूँ,डूबने देते मुझको यूँ ही दिखाया था किनारा क्यूँ।
Qatl Toh Lazim Hai Iss Bewafa Shahar Mein,Jise Dekho Dil Mein Nafrat Liye Firta Hai.
क़त्ल तो लाजिम है इस बेवफा शहर में,जिसे देखो दिल में नफरत लिये फिरता है।
Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyar Nibhate Rahe,Lo Yeh Zindgi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si.
वो नफरतें पाले रहे हम प्यार निभाते रहे,लो ये जिंदगी भी कट गयी खाली हाथ सी।
Lekar Ke Mera Naam Woh Mujhe Kosta Hai,Nafrat Hi Sahi Par Woh Mujhe Sochta Toh Hai.
लेकर के मेरा नाम वो मुझे कोसता है,नफरत ही सही पर वो मुझे सोचता तो है।
Hai Khabar Achhi Ke Aaja Munh Meetha Karein,Nafratein Teri Huyi Hain Ba-Khushi Dil Ko Kabool.
है खबर अच्छी कि आजा मुंह तेरा मीठा करें,नफरतें तेरी हुई हैं बा-खुशी दिल को कुबूल।
Koi Toh Haal-e-Dil Apna Bhi Samjhega,Har Shakhs Ko Nafrat Ho Jaroori To Nahi.
कोई तो हाल-ए-दिल अपना भी समझेगा,हर शख्स को नफरत हो जरूरी तो नहीं।
Tumhari Nafrat Par Bhi Luta Di Zindgi Humne.Socho Agar Tum Mohabbat Karte Toh Hum Kya Karte.
तुम्हारी नफरत पर भी लुटा दी ज़िन्दगी हमने,सोचो अगर तुम मुहब्बत करते तो हम क्या करते।
Nafrat Mat Karna Humse Hamein Bura Lagega,Bas Pyar Se Kah Dena Teri Jaroorat Nahi Hai.
नफरत मत करना हमसे हमें बुरा लगेगा,बस प्यार से कह देना तेरी जरुरत नहीं है।
Mujh Se Nafrat Ki Ajab Raah Nikali Usne,Hasta Basta Dil Kar Diya Khali Usne,Mere Ghar Ki Riwayat Se Woh Khoob Tha Waqif,Judai Maang Li Ban Ke Sawali Usne.
मुझसे नफरत की अजब राह निकली उसने,हँसता बसता दिल कर दिया खाली उसने,मेरे घर की रिवायत से वोह खूब था वाकिफ,जुदाई माँग ली बन के सवाली उसने।
Nafrat Ho Jayegi Tujhe Apne Hi Kirdaar Se,Agar Main Tere Hi Andaaj Mein Tujhse Baat Karun.
नफ़रत हो जायेगी तुझे अपने ही किरदार से,अगर मैं तेरे ही अंदाज में तुझसे बात करुं।
Usne Nafrat Se Jo Dekha Hai To Yaad Aaya,Kitne Rishte Uski Khatir Yun Hi Tod Aaya,Kitne Dhundhle Hain Ye Chehre Jinhe Apnaya Hai,Kitni Ujali Thi Wo Aankhein Jinhe Chhod Aaya Hu.
उसने नफ़रत से जो देखा है तो याद आया,कितने रिश्ते उसकी ख़ातिर यूँ ही तोड़ आया हूँ,कितने धुंधले हैं ये चेहरे जिन्हें अपनाया है,कितनी उजली थी वो आँखें जिन्हें छोड़ आया हूँ।
Jyada Kuchh Nahi Badla, Unke Aur Mere Beech Me,Pahle Nafrat Nahi Thi, Ab Mohabbat Nahi Hai.
ज्यादा कुछ नहीं बदला, उनके और मेरे बीच में,पहले नफरत नहीं थी, अब मोहब्बत नहीं हैं।
Nafrat Karne Wale Bhi Ghazab Ka Pyar Karte Hain,Jab Bhi Milte Hain Ki Tujhe Chhodenge Nahin.
नफरत करने वाले भी गज़ब का प्यार करते हैं,जब भी मिलते है कहते हैं कि तुझे छोड़ेंगे नहीं।
Humein Barbaad Karna Hai Toh Humse Pyar Karo,Nafrat Karoge Toh Khud Barbaad Ho Jaoge.
हमें बरबाद करना है तो हमसे प्यार करो,नफरत करोगे तो खुद बरबाद हो जाओगे।
Na Mohabbat Sabhali Gayi, Na Nafraten Pali Gayi,Afsos Hai Uss Zindagi Ka, Jo Tere Peechhe Khali Gayi.
न मोहब्बत संभाली गई, न नफरतें पाली गईं,अफसोस है उस जिंदगी का, जो तेरे पीछे खाली गई।
Mujhse Nafrat Karni Hai Toh Irade Majboot Rakhna,Jara Se Bhi Agar Chooke To Mohabbat Ho Jayegi.
मुझसे नफरत ही करनी है तो इरादे मजबूत रखना,जरा से भी अगर चूके तो मोहब्बत हो जायेगी।
Jarurat Hai Mujhe Naye Nafrat Karne Walon Ki,Purane Dushman Toh Ab Mujhe Chahne Lage Hain.
जरूरत है मुझे नये नफरत करने वालों की,पुराने दुश्मन तो अब मुझे चाहने लगे है।
Kuchh Juda Sa Hai Mere Mahboob Ka Andaaz,Najar Bhi Mujh Par Hai Nafrat Bhi MujhSe Hi Hai.
कुछ जुदा सा है मेरे महबूब का अंदाज,नजर भी मुझ पर है और नफरत भी मुझसे ही।
Tujhe Pyaar Bhi Teri Aukaat Se Jyada Kiya Tha,Ab Baat Nafrat Ki Hai Toh Nafrat Hi Sahi.
तुझे प्यार भी तेरी औकात से ज्यादा किया था,अब बात नफरत की है तो नफरत ही सही।
Maohabbat Karne Se Fursat Nahi Mili Yaaro,Varna Hum Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.
मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली यारो,वरना हम करके बताते नफरत किसको कहते है।
Iss Kadar Nafrat Hai Use Meri Mohabbat Se,Hath Usne Jala Liye Meri Taqdir Mitane Ke Liye.
इस कदर नफरत है उसे मेरी मोहब्बत से,हाथ अपने जला लिए मेरी तकदीर मिटाने के लिए।
Ehsaas Badal Jate Hain Bas Aur Kuchh Nahi,Varna Nafrat Aur Mohabbat Ek Hi Dil Mein Hoti Hai.
एहसास बदल जाते हैं बस और कुछ नहीं,वरना नफरत और मोहब्बत एक ही दिल में होती है।
Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,Sab Kuchh Usne Apna Humare Naam Likha Tha,Suna Hai Aaj Unko Humare Zikr Se Nafrat Hai,Jisne Kabhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.
कभी उसने भी हमें चाहत का पैगाम लिखा था,सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,सुना है आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है,जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।
www.meridileshayari.in 


source https://www.meridileshayari.in/2019/12/shayari-on-nafrat.html

No comments:

Post a Comment